Zindagi Ke Safar Mein Guzar Jaate Hain Jo Makaam
Vo Phir Nahin Aate, Vo Phir Nahin Aate
Phool Khilte Hain, Log Milte Hain
Phool Khilte Hain, Log Milte Hain Magar
Patjhad Mein Jo Phool Murjha Jaate Hain
Vo Baharon Ke Aane Se Khilte Nahin
Kuchh Log Ik Roz Jo Bichhad Jaate Hain
Vo Hazaron Ke Aane Se Milte Nahin
Umra Bhar Chahe Koi Pukaara Kare Unka Naam
Vo Phir Nahin Aate, Vo Phir Nahin Aate
Zindagi Ke Safar Mein...
Aankh Dhokha Hai, Kya Bharosa Hai
Aankh Dhokha Hai, Kya Bharosa Hai Suno
Doston Shaq Dosti Ka Dushman Hai
Apne Dil Mein Ise Ghar Banane Na Do
Kal Tadapna Pade Yaad Mein Jinki
Rok Lo Rooth Kar Unko Jaane Na Do
Baad Mein Pyaar Ke Chahe Bhejo Hazaron Salaam
Vo Phir Nahin Aate, Vo Phir Nahin Aate
Zindagi Ke Safar Mein...
Subah Aati Hai, Shaam Jaati Hai
Subah Aati Hai, Shaam Jaati Hai Yunhi
Vaqt Chalta Hi Rehta Hai Rukta Nahin
Ek Pal Mein Ye Aage Nikal Jaata Hai
Aadmi Theek Se Dekh Paata Nahin
Aur Pardey Pe Manzar Badal Jaata Hai
Ek Baar Chale Jaate Hain Jo Din-Raat Subah-O-Shaam
Vo Phir Nahin Aate, Vo Phir Nahin Aate
Woh Phir Nahin Aate...